Feb 24, 2009 09:50
Koi bataao mujhe shaayri kaise karte hain
likhti hoon kuch to log mujhpar hanste hain
kehte hain ghode ko gadha kyu banaati ho
kyun shaayri banaake apna dimaag lagaati ho
maine kahaa mai to sirf koshish karti hoon
kuch acha na bana to bhi nahi darrti hoon
kya hua jo meri shaayri tumhe pasand nahi aai
par shaayri se meri tumhe thodi hansi to aai
ek shaayar ka kaam hota nahi sirf rona rulaana
kahin uska mann karta hai thoda hansna hansaana
isliye likhte waqt kabhi dimaag ko side kar diya karo
kabhi kabhi maahaul ko thoda light kar diya karo
is recession mei bhi agar dukhi kavitaa sunaaungi
khud kya hasungi kisi aur ko kya hasaaungi
ban na sakti shaayar to kya hua
aap thoda hanse yahin mera farz poora hua